Friday, September 28, 2012

Ghajal




Er. Furqan Azmi


Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they - Ghazal shayari


Aadhi raat ke shaid sapne jhoote they..
Ya phir pehli baar sitaare toote they...

Jis din ghar se bagh ke sheher pohnchi thi,
Bhag bhari ke bhag usi din phoote they...

Mazhab ki bunyaad pe kia taqseem hui,
Hamsayon ne hamsaye hi loote they...

Shokh nazar ki chutki ne nuksaan kia,
Haathon se chaye ke bartan choote they..

Aoorh ke phirti thi jo 'Nainaan' sari raat,
Us resham ki shaal pe yaad ke boote they...
-----------------------------------
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...
Maazi Tou Sunehra Tha, Magar Haal Kho Gaya
Wo Raub-o-Dabdaba, Wo Jalal Kho Gaya...
Wo Husn-e-Be.Misaal Wo Jamal Kho Gaya,

Doobey Hain Jawabo'n Me, Per Sawal Kho Gaya...
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...
Urtey Jo Fizao'n Main, Thay Shaheen Na Rahe
Ba-Zauq Na Rahe, Zaheen Na Rahe

Pkeeza Gar Nahi Rahe, Ba-Deen Na Rahe
Wo Lal-o-Gulzar Wo, Mah-jabeen Na Rahe
Momin Ka Wo, Andaz-e-B.kamal Kho Gaya
Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya...
----------------------------
Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...
------------------------------------
Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat 'Wasi'

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat 'Wasi'
Qatra qatra baras rahi hai askhkon ki barsaat 'Wasi'

Tere baad ye dunya wale mujh ko pagal kar dain ge,
Khushbu ke dais me mujh ko le chal apne saath 'Wasi'

Yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gum sum betho ge?
Khamoshi se dam ghutta hai chairo koi baat 'Wasi'

Chor 'Wasi' ab us ki yaadain, tujh ko pagal kar dain gi,
Tu qatra hai wo darya hai, dekh apni Aoqaat 'Wasi'..!!
---------------------------------
Ye Kiska Tasawur Hai, Ye Kiska Fasana Hai

Ye kiska tasawur hai, ye kiska fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai...

Aankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai...

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai...!

Yaa wo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai....
-------------------------------

Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi,
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..


Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka,
Rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi...

Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu,
Masruf main bhi kam tha faraagat use bhi thi...

Sunata tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan,
Taaza rafaaqaton ki zarurat use bhi thi...

Mujh se bichar ke shahar me ghul mil gayaa wo shakhs,
Haalanke shahar bhar se raqabat use bhi thi...

Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi...
------------------------------------


Me jo mehka toh meri shakh jala di uss ne,
Sabz mausam me mujhe zard hawa di uss ne...

pehle ik lamhe ki zanjeer me bandha mujh ko,
Aur phir Waqt ki raftar barha di uss ne...

Jaanta tha ke mujhe maut sakoon bkhshe gi,
woh sitamgar tha so jeene ki duaa di uss ne...

Uss ke hone se thiin saanse meri dugni shayad,
Woh jo bichra toh meri umar ghata di uss ne....!
--------------------------------------

Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi,
Lagta hai ye zindagi, isi Hasrat me katy gi..

Meri hatheli ki pusht par, uske labon ke nishan,
Surkh laali ab dhoodne se, kahan ghaty gi...?

Labon tak aate baddua, dua ban jati hai,
Dil me chupi Mohabbat ab aise hi uthy gi..

Na barha jigar sooz dard, maan ja dil ki baat,
Dunya janti hai tere Sitam, tare aage daty gi..

Jage hain tamam raat, chaand ki ik Jhalak ko,
Na jaane ye Kali badli, aage se kab haty gi...

'Tahir' ne daal diye hain, teri gali me Dairyy,
Suna hai jaldh hi tere, didaar ki Khairaat batyy gi...!
-----------------------------------

Tere hothon ki hasi banane ka khwaab hai…
Teri aaghosh me simat jane ka khwab hai…

Tu lakh bachale daaman ishq ke haathon…
Aasmaa bankar tujh per chhaane ka khwab hai…

Aazmaish yun to acchi nahi hoti ishq ki…
Tu chahe to teri takdeer banane ka khwab hai…

Wo Maut bhi laut jaye tere darwaze pe aake…
Tujhko aisi zindagi dene ka khwab hai…

Jee bhi lenge agar jeena pare tere bina,
Lekin tujh per mar mitne ka khwab hai…!!!
--------------------------------


Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!
-----------------------------------------

Yaqeen Aata Nai Dil Ko k aisa ho B Skta hy,
Mera Hal-e-Gham Sun kr wo Zalim ro bhi Skta Hy,

Kbhi Insaan Akela ho k bhi Tanha Nai Hota,
Sar-e-Mehfil kabi Bethy Bethaye Kho bhi Skta Hy,

Ta'ajjub kyun Hai Tumko meri Be-Gunahi Per,
Karam ka Aik Qatra Dagh-e-Daman Dho bhi Skta Hy,

Kbi insan ko Neend Ati Nai Phoolon k bister Pr,
Kabi Phattar pe Sar Rakh kr Mazy Se So bhi Skta Hy,

Wo kehta Hy Tmhari khatir Sitare Torh Laonga,
Ba-zahir Yun Nai Hota Mgr yun Ho b Skta hy??
-----------------------------------------
Ab bhalaa chhor ke ghar kyaa karte,
Shaam ke waqt safar kyaa karte...

Teri masrufiyaten jaante the,
Apne aane ki Khabar kyaa karte...

Jab sitaare hi nahin mil paaye,
Le ke ham shams-o-Qamar kyaa karte...

Wo musaafir hi khuli dhoop kaa tha.!
Saaye phailaa ke shajar kyaa karte...

Khaak hi aval-o-aakhir thahri..!
Kar ke zare ko gauhar kyaa karte...
------------------------------------

..Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha
Ishq Tha Jo Kabhi Izhaar Tak Nahi Pohncha
..Yun Tu Guftagoon Bohut Huwe Unse Phir Bhi
Silsila Kabhi Yeh Pyaar Tak Nahi Pohncha..



..Jaane Kaise Ho Gaya Waakif Tamaam Shehar
Daastan-e-Ishq Yun Tu Kabhi Akhbaar Tak Nahi Pohncha..
..Shartein Ek Dusare Ki Manzoor Thi Yun Tu
Par Masauda Hamara Kabhi Qaraar Tak Nahi Pohncha..



..Gahrayi Dosti Main Naapta Bhi Kaise
Rishta Hamara Kabhi Taqraar Tak Nahi Pohncha..
..Ana’a Meri Mujhe Izazat Nahi Deti
Faqat Isliye Zaidi Darbar Tak Nahi Pohncha....!
--------------------------------------

adeem-hashmi-taluq

Taluq Torta Hun To Mukammal Torr Deta Hun
Jise Mein Chor Deta Hun Mukammal Chorr Deta Hun
Mohabbat Ho Keh Nafrat Ho, Bhara Rehta Hun Shiddat Se
Jidhar Se Aaye Ye Darya Udhar Hi Morr Deta Hun

Yaqeen Rakhta Nahi Hun Mein Kisi Kache Taluq Par
Jo Dhaga Tootne Wala Ho Us Ko Torr Deta Hun
Mere Dekhe Hue Sapne Kahin Lehrain Na Le Jayn
Ghronde Rait Ke Ta’meer Kar Ke Chorr Deta Hun

‘Adeem’ Ab Tak Wohi Bachpan Wohi Tehzeeb Kari Hai
Qafas Ko Torr Deta Hun, Parinde Chorr Deta Hun…
------------------------------------
Mohabbat-Noshi-Gilani

Tum Ne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Ye Kehne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili

Neendon Ko Dais Jate, Koi Khwab Dekhte
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Khair Shehar Ke Logon Ka Khoof Tha
Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili

Phir Ikhtilaaf-E-Raye Ki Soorat Nikal Pari
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili

Be-Raaz Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hamain
Sab Kuch Mila, Sakoon Ki Doolat Nahi Mili
-------------------------------------
Aankhon-Bashir-Badr

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha

Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha
Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha

Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha

Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha
----------------------------------
Parveen-Shakir-Ghazal
Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi
Silvatein Roshni Mein Ubhrain Gi
Ghar Ki Deewarein Mere Jane Par
Apni Tanhaiyon Ko Sochein Gi

Ungliyon Ko Tarash Don Phir Bhi
Aadtein Uska Naam Likhein Gi
Rang-O-Bu Se Kahin Panah Nahi
Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi

Aik Khushbu Se Bach Bhi Jaon Ager
Doosri Nikhatein Jakar Leingi
Khirkhiyon Par Dabeiz Parde Hon
Barishein Phir Bhi Dastakein Deingi
-----------------------------
Bashir Badr's ghazal
In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi
Ager Zindagi Sirf Jazbaat Hogi..
Musafir Ho Tum bhi, Musafir Hain Hum Bhi
Kisi Mor Par Phir Mulaqaat Hogi

Sadaon Ko Ilfaaz Milne Na Payn
Na Badal Ghirain Na Barsaat Hogi
Chiraghon Ko Aankhon Mein Mehfoz Rakhna
Bari Door Tak Raat Hi Raat Hogi

Azal Se Abad Tak Safar Hi Safar Hai
Kahin Subha Hogi Kahin Raat Hogi
-----------------------------
Mohabbatein-Noshi-Gilani

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hisse Mein Aai Hain Wo Aziyatein Bhi Shumar Karna
Jalaye Rakhon Gi Subha Tak Mein Tumhare Raston Mein Apni Aakhein
Magar Kahin Zabat Toot Jaye To Barishein Bhi Shumar Karna

Jo Harf Looh-E-Wafa Pe Likhe Hue Hain Un Ko Bhi Dekh Lena
Jo Raaigan Ho Gain Wo Sari Ibadatein Bhi Shumar Karna
Ye Sardiyon Ka Udas Mausam Ke Dharkanein Baraf Ho Gayn
Jab Un Ki Ykh Bastagi Parakhna, Tamazatein Bhi Shumar Karna

Tum Apni Majboorion Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hain Wo Khwahishein Bhi Shumar Karna
-------------------------------------
Dost-Kia-Nusrat
Dost Kia Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain
Har Naye Mor Par Aik Zakham Naya Dete Hain

Tum Se To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Dete Hain

Kese Mumkin Hai Ke Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jaly
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Dete Hain

Kon Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Aye Dost
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain

Jin Pe Hota Hai Bohat Dil Ko Bhroosa ‘Tabish’
Waqt Parne Pe Wohi Loog Dagha Dete Hain
-------------------------------
Aurat-Inspirational-Poetry


Jab Hawis Ghayal Kare Mujh Ko Nazar Ke Teer Se
Us Ghari Karti Hun Shikwa Katib-E-Taqdeer Se
Haye Mujh Aurat Ki Kisqmat Kia Bataon Kia Kahon
Kaatta Hai Meri Sheh_Rag Baap Bhi Shamsheer Se

Ghair Chun Dete Hain Mujh Ko Jeete Jee Deewar Mein
Apne Ghairat Mein Jakre Hain Mujhe Zanjeer Se
Sare Rishte Mujh Ko Ibrat Naak Dete Hain Saza
Mangta Hai Maal-O-Zar Shohar Bhi Mujh Dilgeer Se

Aur Jab Tezaab Se Jhulsa Diya Jaye Mujhe
Har Kisi Ko Khoof Aata Hai Meri Tasweer Se
Umar Bhi Khidmat Karon Par Phir Bhi Ho Jati Hun Mein
*Ghar Se Bahar Teen Lafzoon Ki Faqat Tehreer Se

Aye Raza Mardoon Se Mera Hai Faqat Ik Ye Sawal
Kab Mein Dunya Mein Jiyoon Gi Izzat-O-Toqeer Se
------------------------------
Apne-Honthon-Qateel-Shifi


Apne Honthon Par Sajana Chahta Hun
Aa Tujhe Mein Gungunana Chahta Hun
Koi Aansu Tere Daman Par Gira Ke
Boond Ko Moti Banana Chahta Hun

Thak Gaya Mein Yaad Karte Karte Tujh Ko
Ab Tujhe Mein Yaad Aana Chahta Hun
Aakhiri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Maut Bhi Mein Shairaana Chahta Hun

Chaa Raha Hai Sari Basti Mein Andhera
Rooshni Ko Ghar Jalana Chahta Hun
----------------------------
Urdu-Ghazal
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone Do
Mein Khud Hi Laut Jaon Ga Mujhe Nakaam Hone Do

Mujhe Badnaam Karne Ke Bahane Dhoondte Ho Kion
Mein Khud Ho Jaon Ga Badnaam Pehle Naam Hone Do

Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf-E-Shikast
Mein Sab Tasleem Kar Lon Ga Ye Charcha Aam Hone Do

Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafain Bech Laina Par Zara Nelaam Hone Do

Naye Aaghaz Mein Hai Hosla Kion Toor Bethe Ho
Tum Sab Kuch Jeet Jao Ge Zara Anjaam Hone Do
---------------------------------
Bichra-Parveen-Shakir

Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Is Zakham Ko Ham Ne Kabhi Silte Nahi Dekha
Ik Baar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khuahish
Phir Shakh Pe Is Phool Ko Khilte Nahi Dekha

Yak_Lakht Gira Hai To Jarain Tak Nikal Aain
Jis Peir Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha
Kanton Me Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin
Titli Ko Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha

Kis Tarah Meri Rooh Ko Hari Kar Gaya Aakhir
Wo Zehar Jise Jism Me Khilte Nahi Dekha  
----------------------------------
Badban-Khulne-Parveen-Shakir
Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna,
Mein Samandar Dekhti Hun, Tum Kinara Dekhna
Yun To Bicharna Bhi Bohat Aasaan Na Tha, Us Se Mager,
Jate Jate Us Ka Wo Mur Kar Dobara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chand 
Aye Shab-e-Hijran Dara Apna Sitara Dekhna
Aaine Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kia Kia Dikhaye Ga Tumhara Dekhna
--------------------------------------


Chupke Chupke Rat Din
Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamana Yaad Hai
Ba_Hazaran Iztrab-o-Sad Hazaran Ishtiyaq
Tujh Se Wo Pehle Pehal Ka Dil Lagana Yaad Hai

Tujh Se Kuch Milte Hi Wo Be_Baak Ho Jana Mera
Aur Tera Daanton Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai
Khainch Laina Wo Mera Parde Ka Kona Dafa’tan
Aur Dopatey Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai

Aa Gaya Gar Wisal Ki Shab Mein Phir Kahin Zikr-e-Faraq
Wo Tera Ro Ro Kar Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai
Dopehar Ki Dhoop Me Mujh Ko Bulane Ke Liye
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad Hai

Bawajood Adaye Ittaqa ‘Hasrat’ Mujhe
Aaj Tak Ehad-e-Hawis Ka Wo Fasana Yaad Hai
-----------------------------------
Koi-Umeed-Bar
Koi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Soorat Nazar Nahi Aati…
Mout Ka Aik Din Muayyan Hai
Neend Kion Raat Bhar Nahi Aati..?

Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi,
Ab Kisi Baat Pe Nahi Aati…
Janta Hun Sawab-E-Taa’at-O-Zohad,
Par Tabiyat Idhar Nahi Aati…

Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hun,
Warna Kia Baat Kar Nahi Aati…
Kion Na Cheekhon Ke Yaad Karte Hain,
Meri Aawaz Gar Nahii Aatii..

Daagh-E-Dil Gar Nazar Nahi Aata..
Bu Bhi Aye Charah_Gar Nahi Aati…
Hum Wahan Hai Jahan Se Ham Ko Bhi,
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati…

Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki,
Mout Aati Hai Par Nahi Aati…
Ka’bah Kis Munh Se Jao Ge ‘Ghali’
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati…
-------------------------------
wasi shah poetry

Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mein Ke Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kardo

Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo…

Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kardo…

Dhoop Hi Dhoop Hon Mein Toot Ke Barso Mujh Par,
Mein To Sehra Hun Mujhe Piyar Ka Badal Kardo…

Iske Saye Mein Mere Khwab Mehak Uthen Gey,
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kardo..

Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ik Nazar Piyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo…
-----------------------------------
Har Lehza Hai Momin
Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan
--------------------------------------
Dil mein ik  Lehar
Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi,
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi….
Shoor Barpa Hai Khana-e-Dil Mein..
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi…

Bhari Duniya Mein Jee Nahi Lagta
Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi…
Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeron Mein
Teri Awaaz Aa Rahi Hai Abhi…

Shehar Ki Be Chiraagh Galiyon Mein
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi…
So Gaye Log Is Haweli Ke
Ik Khirki Mager Khuli Hai Abhi..

Waqat Acha Bhi Aaye Ga ‘Nasir’
Gham Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi…
----------------------------------
rsz_1love_mohabbat_poetry
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain…
Haath Par Un Ke Titli Beth Gai 
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain…

Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain…
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain

Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain…
Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain…

Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain
Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain

Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain…
Dosra Moqa ‘Qais’ Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain…
-------------------------------------
rsz_sahir_ludhianvi_shayari
Lo Apna Jahan A Duniya Walo, Hum Is Duniya Ko Chor Chaly,
Jo Rishtey Natey Jorray They, Wo Rishtey Nate Tor Chaly..

Kuch Sukh Ke Lamhey Dekh Chaly, Kuch Dukh Ke Lamhey Jheil Chaly,
Taqdeer Ki Andhi Gardish Ney, Jo Khel Khilaye Khel Chaly…

Har Cheez Tumhari Lotas Di, Hum Kuch Na Le Kar Sath Chaly,
Phir Dosh Na Dena Aey Logo, Hum Dekh Lo Khali Hath Chaly…

Ye Raah Akeli Kat’ti Hai, Yahan Sath Na Koi Yaar Chaly,
Us Paar Na Janey Kiya Hoga, Is Paar To Sab Kuch Haar Chaly…
--------------------------------------
Habib-Jalib-Poetry
Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate
Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala??
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate..

Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha??
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate…
Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par,
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate….
---------------------------------------

Aankhen-bheeg-jati-Wasi-Shah
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 
Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se,
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….
Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain, 
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 
Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..?
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain, 
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain… 
Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi,
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain, 
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi, 
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…
Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe ‘Wasi’ 
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….!
-----------------------------------
Love-Sad-Picture

Usey Keh Do Wo Mera Hai Begana Ho Nahi Sakta ,
Bohat Nayab Hai, Us Jaisa Koi Ho Nahi Sakta...

Us Ke Sath Jo Guzra Wo Mousam Yaad Aata Hai,
Us Ke Baad Koi Mousam Suhana Ho Nahi Sakta...

Chupane Se Nahi Chupta, Dikhane Se Nahi Dikhta ,
Ye Atish-E-Ishq Hai Is Mein Bahana Ho Nahi Sakta...

Wo Dil Pe Naqsh Ho Jaye, Nigahon Mein Sama Jaye,
Ke Is Dil Mein Kisi Ka Phir Se Aana Ho Nahi Sakta....

Bohat Hain Chahne Wale Us Ke Hum Ne Suna Hai, Par
Koi Bhi Doosra Hum Sa Deewana Ho Nahi Sakta…
--------------------------------
Tum Meri Aankh Wasi Shah

Tum meri aankh ke tever na bhula pao gey,
Unkehi baat ko samjho gey to yaad aaonga…
Hum ne khushiyon ki tarhan dukh bhi ikathe dekhe, 
Safha-e-zeest ko palto gey to yaad aaonga…
Is judai mein tum andar se bikhar jao gey, 
Kisi mazoor ko dekho gey to yaad aaonga…
Isi andaz mein hote the mukhatib mujh sey, 
Khat kisi aur ko likho gey to yaad aaonga…
Meri khusbhu tumhain kholey gi gulabon ki tarhan,
Tum ager khud sey na bolo gey to yaad aaonga…
Sard raaton ke mehaktey hue sanatoon mein, 
Jab kisi phool ko chumo gey to yaad aaonga…
Aaj to mehfil-e-yaraan pe ho maghroor bohat, 
Jab kabhi toot ke bikhro ge to yaad aaonga
Ab to ye ashk main honton sey chura laita hun,
Haath sey khud inhein poncho gey to yaad aaonga…
Shaal pehnaey ga ab kon december mein tumhain, 
Barishon mein kabhi bheego gey to yaad aaonga…
Hadsey aainge jeeven mein to tum ho ke nidhaal, 
Kisi deewaar ko thamoo gey to yaad aaonga…
Is mein shamil hai mere bakht ki tareeqi bhi
tum sayaah rang jo pehno gey to yaad aaonga
------------------------------------------
Love Poetry


Aey hum sukhan wafa ka taqaza hai ab yehi,
Mein apne hath kaat lon, tu apne hont see..
Kin be-dilon mein phaink diya hadsaat ne,
Aankhon mein jin ki noor na baaton me taazgi..

Bol aey mere diyaar ki soi hui zameen,
Mein jin ko dhoondta hun kahan hain wo aadmi?
Meethe the jin ke phal, wo shajar kat kata gaye, 
Thandi thi jis ki chaaon wo deewar gir gai..
Bazaar band, raaste sunsan, be-chiraagh, 
Wo raat hai ke ghar se nikalta nahi koi…
‘Nasir’ bohat si khuwahishain dil me hain be-qarar, 
Lekin kahan se laaon woh be-fikar zindagi…
-----------------------------
Faiz poetry
Na Ganwao Nawak-e-Neem Kash, Dil-e-Reza Reza Ganwa Diya,
Jo bache hain sang samait lo, tan-e-dagh dagh luta diya..

Mere charahgar ko naveed ho, sifh-e-dushmanan ko khabar karo,
Wo jo qarz rakhte the jaan par, wo hisab aaj chuka diya…

Karo kaj jabeen pe sar kafan, mere qatilon ko guman na ho,
Keh gharor-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya..

Udhar ek harf ke kashtani, yahan laakh guzar tha guftani,
Jo kaha to sun kar ura diya, jo likha to parh kar mita diya..

Jor ke to koh-e-giran the hum, jo chaly to jaan se guzar gaye,
Reh-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgar bana diya…!
--------------------------------------
ghalib best shayari


Aa.! ke meri jaan ko qaraar nahi hai,
Taqat, Bedaad-e-Intezar nahi hai..
Dete hain jannat, Hayat-e-Dahar, ke badle,
Nassah Baa_Andazaa-e-Khumar nahi hai..

Giriyaa, nikale hai teri bazm se mujh ko,
Haye ! keh rone pe ikhtiyar nahi hai..
Hum se abas hai gumaan-e-ranjish khatir,
Khaak me ushshaq ki Ghubar nahi hai..

Dil ! se utha, lutf, jalwa haye ma'ani,
Gair-e-gul, Aaina-e-Bahar nahi hai..
Qatal ka mere kia hai ahad tu baray,
Waye, agar ahad-e-ustawaar nahi hai..

Tu ne Qasam Ma'y kashi ki khayi 'Ghalib'
Teri Qasam ka kuch Aitibaar nahi hai...!
------------------------------------
Apni Ruswai Parveen Shakir

Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon..

Neend aa jaye to kia mehfilain barpa dekhon,
Aankh khul jaye to tanhai ka Sehra dekhon,

Shaam bhi ho gai, dhundla gain aankhain bhi meri,
Bhoolne wale, mein kab tak tera rasta dekhon...?

Sab zidain is ki mein poori karon, har baat sunon,
Aik bache ki tarha use hansta dekhon....

Mujh pe chah jaye jo barsat ki khushbu ki tarha,
Ang ang apna usi rut me mehakta dekhon...

To meri tarha se yakta hai mager mere habeeb,
Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhon...

Mein ne jis lamhe koi pooja hai usy bas ek baar,
Khwab ban kar teri aankhon me utarna dekhon...

Tu mera khuch nahi lagta hai, magar jaan-e-Hayat,
Jane kion tere liye dil ko dharakta dekhon..
--------------------------------------
best bashir badr


Parakhna mat parakhne mein koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakha,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Hazaron shair mere so gaye kaghaz ki qabron mein,
Ajab Maa hun koi bacha mera zinda nahi rehta....

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh jab aik bhi patta nahi rehta...
-------------------------------------------------
Best Imtihan Shayari

Mohabbat me ibtida se hi imtihan de rahe hain,
Apne no-khaiz dil ko tarapne ka samaan de rahe hain... 

Dil ki zarkhaiz matti, akhir wiran kion rahi ab tak?
Jise barsoon se khoon apni, jawan de rahe hain...

Jahan wiranon me tanhai ne jane se kar diya inkar,
Dal kar dairy ham, wiranon ko shan de rahe hain...

Ghamon ka dasa hua hun, ohir bhi ghamon se hai piyan,
Chahat me qurbani ka, naya rujhan de rahe hain...

Jane pehchane chehray, ab pehchane nahi jaate,
Har chehray ko, naye chehray ka guman de rahe hain...

'Tahir' dhoop se nikal kar, thera hai hawa ke saye tale,
Apni zaat ko alag se, ik pehchan de rahe hain....!
---------------------------------------------------
Best of Wasi Shah

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...

Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...

Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...

Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...

Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...

Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...

Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...

Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna...
-------------------------------------------
Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...
----------------------------------------------



Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi 
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par 
Naam tera likh diya baarish ke baad....!
-----------------------------------
------------------------------

Bichra-Parveen-Shakir

Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Is Zakham Ko Ham Ne Kabhi Silte Nahi Dekha
Ik Baar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khuahish
Phir Shakh Pe Is Phool Ko Khilte Nahi Dekha

Yak_Lakht Gira Hai To Jarain Tak Nikal Aain
Jis Peir Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha 
Kanton Me Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin
Titli Ko Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha

Kis Tarah Meri Rooh Ko Hari Kar Gaya Aakhir
Wo Zehar Jise Jism Me Khilte Nahi Dekha 
-----------------------------
Badban-Khulne-Parveen-Shakir
Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna,
Mein Samandar Dekhti Hun, Tum Kinara Dekhna
Yun To Bicharna Bhi Bohat Aasaan Na Tha, Us Se Mager,
Jate Jate Us Ka Wo Mur Kar Dobara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chand 
Aye Shab-e-Hijran Dara Apna Sitara Dekhna
Aaine Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye 
Jane Ab Kia Kia Dikhaye Ga Tumhara Dekhna
-------------------------
Chupke Chupke Rat Din
Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamana Yaad Hai
Ba_Hazaran Iztrab-o-Sad Hazaran Ishtiyaq
Tujh Se Wo Pehle Pehal Ka Dil Lagana Yaad Hai

Tujh Se Kuch Milte Hi Wo Be_Baak Ho Jana Mera
Aur Tera Daanton Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai
Khainch Laina Wo Mera Parde Ka Kona Dafa’tan
Aur Dopatey Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai

Aa Gaya Gar Wisal Ki Shab Mein Phir Kahin Zikr-e-Faraq
Wo Tera Ro Ro Kar Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai
Dopehar Ki Dhoop Me Mujh Ko Bulane Ke Liye
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad Hai

Bawajood Adaye Ittaqa ‘Hasrat’ Mujhe
Aaj Tak Ehad-e-Hawis Ka Wo Fasana Yaad Hai
--------------------------------
Koi-Umeed-Bar
Koi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Soorat Nazar Nahi Aati…
Mout Ka Aik Din Muayyan Hai
Neend Kion Raat Bhar Nahi Aati..?

Aage Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi,
Ab Kisi Baat Pe Nahi Aati…
Janta Hun Sawab-E-Taa’at-O-Zohad,
Par Tabiyat Idhar Nahi Aati…

Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hun,
Warna Kia Baat Kar Nahi Aati…
Kion Na Cheekhon Ke Yaad Karte Hain, 
Meri Aawaz Gar Nahii Aatii..

Daagh-E-Dil Gar Nazar Nahi Aata..
Bu Bhi Aye Charah_Gar Nahi Aati…
Hum Wahan Hai Jahan Se Ham Ko Bhi,
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati…

Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki,
Mout Aati Hai Par Nahi Aati…
Ka’bah Kis Munh Se Jao Ge ‘Ghali’ 
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati…
------------------------------

wasi shah poetry
Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mein Ke Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kardo

Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo…

Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kardo…

Dhoop Hi Dhoop Hon Mein Toot Ke Barso Mujh Par,
Mein To Sehra Hun Mujhe Piyar Ka Badal Kardo…

Iske Saye Mein Mere Khwab Mehak Uthen Gey,
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kardo..

Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ik Nazar Piyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo…
-----------------------------------
Har Lehza Hai Momin
Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan
--------------------------------
Dil mein ik  Lehar

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi,
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi….
Shoor Barpa Hai Khana-e-Dil Mein..
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi…

Bhari Duniya Mein Jee Nahi Lagta
Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi…
Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeron Mein
Teri Awaaz Aa Rahi Hai Abhi…

Shehar Ki Be Chiraagh Galiyon Mein
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi…
So Gaye Log Is Haweli Ke
Ik Khirki Mager Khuli Hai Abhi..

Waqat Acha Bhi Aaye Ga ‘Nasir’
Gham Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi…
----------------------------
rsz_1love_mohabbat_poetry
Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain…
Haath Par Un Ke Titli Beth Gai
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain…

Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain…
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain

Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain…
Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain…

Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain
Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain

Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain…
Dosra Moqa ‘Qais’ Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain…
----------------------------
rsz_sahir_ludhianvi_shayari
Lo Apna Jahan A Duniya Walo, Hum Is Duniya Ko Chor Chaly,
Jo Rishtey Natey Jorray They, Wo Rishtey Nate Tor Chaly..

Kuch Sukh Ke Lamhey Dekh Chaly, Kuch Dukh Ke Lamhey Jheil Chaly,
Taqdeer Ki Andhi Gardish Ney, Jo Khel Khilaye Khel Chaly…

Har Cheez Tumhari Lotas Di, Hum Kuch Na Le Kar Sath Chaly,
Phir Dosh Na Dena Aey Logo, Hum Dekh Lo Khali Hath Chaly…

Ye Raah Akeli Kat’ti Hai, Yahan Sath Na Koi Yaar Chaly,
Us Paar Na Janey Kiya Hoga, Is Paar To Sab Kuch Haar Chaly…
-----------------------------------------



Hm mr jaen gy ik din daikh lena..!
Ro gy boht tm us din daikh lena.
Duniya main hain to parwa nai hmari.
Chor jaen gy tumhain ik din daikh lena.

Aanso chupatay phiro gy sb sy tm.
Itna hi hm yad ayen gy daikh lena
Kuch yadein mithi mithi si tm ko boht sataen gi
Tm khud ko na rok pao gy daikh lena.

Mana k kuch nai hen aj hum tmharay liye.
Kal tmharay liye ik yad ban jaen gy daikh lena..!!
----------------------------------
Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaroo
Mujhko Bhe Meri Asal Raah Dikha Do Yaaro

Pehna K Mujhe Meri He Ghurbat Ka Kafan
Un Py Surkh Jorra Saja Do Yaaro

Naam Likh Do Unka Khushiyon Ki Deewar Par
Mera Naam-o-Nishan Dunya Sy Mita Do Yaaro

Waqt Aakhiri Hai Teri Dunya Mein Is Dewane Ka
Ho Sakay To Meray Mehboob Ko Ye Batado Yaaro

Suna Hai Aaj Uski Douli is Gali Sy Guzar Jaigi
Meri Mayyat Ko is Rastay Sy Hata Do Yaaro..........!
----------------------------------
Sath to ek pal ka tha phir kiun mujhy yaad aaty ho tum
Aks ki tarha mery dil pr kiun chaa jaty ho tum
Dilbar bhi nhi ho mery hamdum bhi nhi ho tum
Ye rasty pyaar K mujhy phr kiun dikha jaty ho tum 

Hum kabhi mily thy to ek ajnabi ki tarhan
Meri raton ki neend phr kiun ura jaty ho tum
Hawaon se hum tumhara pata poochty rhe
Kuch is tarhan se apna dewana bana jaty ho tum
Sath to ek pal ka tha phr kiun mujhy yaad aaty ho tum...
----------------------------------
  Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Krty Ho
Hansty Ko Rula Dete Ho Kamal Krty Ho
Nahi Hy Mohabbat To Saaf Keh Do
Kiun Umeed Barha Dete Ho Kamal Krty Ho

Hum Tumhain Bhoolne Lgty Hain Jb Bhi
Aa k Pyaar Jata Dete Ho Kamal Krty Ho
Jante Bhi Ho k Ek Hi Dia Hy Mere Ghar Main
Phir Bhi Hawa Dete Ho Kamal Krty Ho

Bhoolne Ka Jo Mujhy Har Roz kehty Ho
Yun Yaad dila Dete Ho Kamal Krty Ho
Khud Hi Kehty Ho k Nasha Haram Hy
Aur Jaam Bhi Thama Dete Ho Kamal Krty Ho....
---------------------------

Roshni ki dhaar pr rakhi kahani or dukh
 Aankh se behta hua khamosh paani or dukh
Mere kamry main usi tarteeb se rakhe hue Phool, 
khat, waade, dilaase, ek jawani or dukh, 
 Ek dooje se bichar kr umar bhar rote rhe, 
Raat, sehra, khush patte, ek raani or dukh,
Ab mere lafzon main woh pehli si kefiyat nahi, 
Daal ab jholi main teri maherbani or dukh, 

Raat sehra main kisi ne baansuri ki nok pr, 
Rakh di phir roti hui yaaden purani or dukh.....!!
------------------------------
Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga,
Be'Hisab Us Main Tera Qasoor Likhun Ga
Tu Guftaar Ka MaHir Tu Kirdar Ka MaHir,
Pr Husn ko Tere Tera Ghuroor Likhun Ga

Toot Gaye Bachpan K Tere SarE Khilony,
Ab Dilon Se KheLna Tera Dastoor Likhun Ga
Raha Ishq Ka Da'awa Tujhe Tamam Umer
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhun Ga

Khud-Sakhta Jo Hai Tera Judai Ka Faisla
Aise Hr Iqdaam Ko Na'Manzoor Likhun Ga
Humein Kehne Ki Aadat Nahi Likhne Ka ShouQ Hai
Jazbon Ko Apne QaLam Ki Taseer Likhun Ga

Tera Wajood, Mera Wajood, Mujhe Ek Sa Lage "Wasi"
Pr Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhun Ga...!!!
------------------------------

Hakikat Hai Yakeen Kar Lo Main Usko Bhool Kar Khush Hun
Mohabbat Mar Chuki Ab To Main Usko Bhool Kar Khush Hun
Badalti Rut Ki Waja Se Tabiyat Kuch Bojhal Si Hai
Yun Mera Haal Mat Poocho Main Usko Bhool Kar Khush Hun

Mere Lehje Pe Mat Chonko Meri Aankhon Mein Mat Jhaanko
Yun Hairat Se Na Dakho Main Usko Bhool Kar Khush Hun
Tumhe Kya Weham Hai Tum Q Mujhse Poochte Ho
Ae Mere Dost Main Usko Bhool Kar Khush Hun

Tum Uski Yaad Se Keh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hu
Ab To Udasi Saare Ghar Mein Phelti Jaati Hai Gum Bankar
Dar-E-Deewar Pe Likh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hun!
----------------------------------------
Dosto Se Kaha Karta Tha Woh Bhi
Kiya Yeh Bhi Jee Sakta Hai, Mere Bin
Mazak Ban Jaya Karta Tha Jo Doston Mein
Khud Ko Tanha Samajhta Tha Woh, Mere Bin

Issay Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagalpan
Tasawar Mein Woh Batein Karta Tha, Mere Bin
Wo Mousmon Ke Badalne Se Darta Nahi Tha Lekin
Bahar Mein Murjhaya Karta Tha, Mere Bin

Ab Aas Toot Gayi Uskay Aanay Ki
Lagta Hai Jeena Seekh Chuka Hai, Mere Bin..!
----------------------------------
Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryani Nahi Jat - Inspirational poetry
Sharafat soz tasveeron ki uryani nahin jati
Adaab ki aar main Targheeb-e-roomani nahin jati
Khuda maloom nasal-e-nauu ka kia anjam hona hai
Watan se fasah naghmo ki farawani nahin jati

Azab aye to us main saienkron ki jaan jati hai
Nahin jati to shaitano ki shaitani nahin jati
Kahin basti ki basti bond pani ko tarasti hai
Kahin barish barasti hai to tughyani nahin jati

Zamana is qadar qaail hwa ha jhoote logon ka
Jo sach kehte hain unki ek bhi maani nahin jati
Jahan k zarre zarre se numayan hai jaalal Uska
Magar hum se Khuda ki zaat pehchani nahin jati..!!!

No comments:

Post a Comment