Friday, September 28, 2012

Parveen Shakir



Parveen-Shakir-Ghazal
Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi
Silvatein Roshni Mein Ubhrain Gi
Ghar Ki Deewarein Mere Jane Par
Apni Tanhaiyon Ko Sochein Gi

Ungliyon Ko Tarash Don Phir Bhi
Aadtein Uska Naam Likhein Gi
Rang-O-Bu Se Kahin Panah Nahi
Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi

Aik Khushbu Se Bach Bhi Jaon Ager
Doosri Nikhatein Jakar Leingi
Khirkhiyon Par Dabeiz Parde Hon
Barishein Phir Bhi Dastakein Deingi
----------------------------------
Bichra-Parveen-Shakir
Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Is Zakham Ko Ham Ne Kabhi Silte Nahi Dekha
Ik Baar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khuahish
Phir Shakh Pe Is Phool Ko Khilte Nahi Dekha

Yak_Lakht Gira Hai To Jarain Tak Nikal Aain
Jis Peir Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha 
Kanton Me Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin
Titli Ko Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha 

Kis Tarah Meri Rooh Ko Hari Kar Gaya Aakhir
Wo Zehar Jise Jism Me Khilte Nahi Dekha 
--------------------------------
Badban-Khulne-Parveen-Shakir
Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna,
Mein Samandar Dekhti Hun, Tum Kinara Dekhna
Yun To Bicharna Bhi Bohat Aasaan Na Tha, Us Se Mager, 
Jate Jate Us Ka Wo Mur Kar Dobara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chand 
Aye Shab-e-Hijran Dara Apna Sitara Dekhna
Aaine Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye 
Jane Ab Kia Kia Dikhaye Ga Tumhara Dekhna
---------------------------------------
Parveen-Shakir-Barish_Shayari
Ye Barish Khoobsorat Hai,
Ik Arsy Baad,
Meri Rooh Mein
Seraab Hone Ki Tamanna Jag Uthi,
Mager Badal Ke Raste Mein
Bohat Pair Aate Hain,
Mein Pal Bhar Ke Liye Sadaab Hoon,
Aur Apni Baqi Umer,
Phir Sehraon Mein Katoon?
Mein Apni Piyaas Par Razi Rahon Gi,
Mere Aansu Meri Kafalat Ke Liye Kafi Rahein Ge…
-------------------------------------
Koi-Raat-Parveen-Shakir

Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho
Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho
Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De 
Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho

Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho
-----------------------------
Apni Ruswai Parveen Shakir

Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon..

Neend aa jaye to kia mehfilain barpa dekhon,
Aankh khul jaye to tanhai ka Sehra dekhon,

Shaam bhi ho gai, dhundla gain aankhain bhi meri,
Bhoolne wale, mein kab tak tera rasta dekhon...?

Sab zidain is ki mein poori karon, har baat sunon,
Aik bache ki tarha use hansta dekhon....

Mujh pe chah jaye jo barsat ki khushbu ki tarha,
Ang ang apna usi rut me mehakta dekhon...

To meri tarha se yakta hai mager mere habeeb,
Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhon...

Mein ne jis lamhe koi pooja hai usy bas ek baar,
Khwab ban kar teri aankhon me utarna dekhon...

Tu mera khuch nahi lagta hai, magar jaan-e-Hayat,
Jane kion tere liye dil ko dharakta dekhon..

-------------------------------
Uljhan-Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai - Parveen Shakir Poetry

Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai,

Aur meri Janib apne Haath barhati Hai,
Soch Rahi Hoon!
Un ko Thamoon,
Zeena Zeena Sannaton Ke Teh-Khaanon Me Utron,
Ya Apne Kamre Me Thehroon
Chaand meri Khirki pe Dastak Daita Hai..!
-----------------------------------
kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi 
Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 
Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 
Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 
Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...
--------------------------------
Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye

lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye

sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye
-------------------------------


kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi
Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 
Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 
Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 
Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...

No comments:

Post a Comment